Lyrics to Langoor
Langoor Video:
Main langoor, shaktimaan
Main apni jhund ka mukhiya hoon

Main langoor, budhimaan
Main apni jhund ka mukhiya hoon
Insaano ke baare mein par
Ab bhi ek nausikhiya hoon


Rahoonga sheheron mein chupke chupaake
Seekhunga kaam saare bachke bachaake
Dekhunga kaise yeh imaaratein banaate
Seekhunga kaise yeh fasle ugaate

Main laut aaunga, jo dekha bataunga
Jo seekh aaya kaam, sabko sikhaunga
Na haare aisi hum bhi sena banayenge
Na doobe aisa ek sheher, basaayenge
Kar ke dikhayenge

Main langoor, shaktimaan
Main apni jhund ka mukhiya hoon

Main langoor, budhimaan
Main apni jhund ka mukhiya hoon
Insaano ke baare mein par
Ab bhi ek nausikhiya hoon

Na pooch shehero mein dekha hai jo jaake
Kya bolu laut aaya jaan main bachaake
Haan dekhe sabse, diwane is jahaan ke
Haan dang reh gaya mein, phat gayee yeh aankhein

Bataau kya main hai, nafraton ka raaj saara
Bhookh, pyaas aur behaali ka hai nazara
Haan bhoolo sena, imaaraton ka sahara
Haan is se behtar toh, van hai yeh saara
Yeh Jungle humaara
Songwriters:
Publisher:
Powered by LyricFind